Ghazal - Jagjit Singh
Garaj baras pyaasi dharti par fir paani de Maula Chidiyo ko daane bachho ko gud-dhaani de Maula Do aur do ka jod hamesha chaar kaha hota hai Soch samjhne walo ko thodi nadani de Maula Fir roshan kar zehar ka pyala chamka nai salide Jhutto ki duniya mein sach ko taabani de Maula Fir murat se bahar aakar chaaro aur bikhar jaa Fir mandir ko koi meera deewani de Maula Tere hote koi kisi ki jaan ja dushman kyu ho Jeene walo ko marne ki aasani de Maula Jagjit Singh